کلید اعمال حب

کلید اعمال حب

http://kaytdek.trevorshp.com/projects/fusedPlastic/flowers_colors.gif



BOHAT SE HAZRAT "AAMAL-E-HUB" K MUTLASHI HEN HUM NEY BHI CHAND AAMAL IS WEB K ZARIAY SE PESH KIAY HEN LEKIN HAQEEQAT YEH HAI K JAB TAK 
ASOOL-O-QAVAYED KI PABANADI NA KI JAYE TO KAMYABI SHAZ-O-NADAR HEE NASEEB MEI AATI HAI WOH TAMAM AFRAD JO HUB K AAMAL KAR KAR K THAK CHUKAY HEN UN KO LAZIM HAI K IS MAZMOON KO SANBHAL KAR APNEY PAAS MEHFOOZ KAR LEN KHAWAH DUNIYA KA KOI BHI AMAL-E-HUB HO YEH MALOOMAT AAP KO HAR JAGAH KAAM AAYEN GE BOHAT HE TAFSEEL SE IN UMOOR KO BEYAN KAR DIYA GEYA HAI JIN KI "AAMAL-E-HUB" MEI ZAROORAT PARRTI HAI.

MATLOOB AISEE CHEEZ HAI JIS K HASOOL K LIAY INSAN SAB KUCH LOTANAY K LIAY TAYAR HO JATA HAI JAB LAKH JATAN KARNAY K BAAD BHI MATLOOB MUTWAJJAH NAHI HOTA TO TALIB KI YEH KHAVAHISH UBHARTI HAI K KOI AISA TAREEQA ISTEMAL KIYA JAYE JIS SE MATLOOB MUSSAKHAR HO JAYE AB YA TO WOH AAMILO K AASTANAY PER KHUD PARVANA-E-SHAMMA BAN JATA HAI YA PHIR IN MAKHFI ALOOM MEI ZOQ FARMANAY LAGTA HAI NATEEJA'TAN BAZAR SE IN ALOOM PER LIKHI GAYEE KUTUB LATA HAI NA MUSANNI'FEEN KA ILM HOTA HAI K KIS NEY LIKHI HAI KITNA SAHIB-E-ILM HAI ? NA ASOOLON KA ILM HOTA HAI K KIN QAVAYED KI PASDARI ZAROORI HAI ?

BAZAR MEI IS WAQT KITABON KI BHARMAR HAI BOHAT HE KAM KOI AISEE KITAB MIL JATI HAI JO KAR'AAMAD HO AB JAB TALIB SAHAB KI NAZAR JAB AJEEB-O-GHAREEB KITABON K NAMON PER PARRTI HAI PHIR DIL MEI KHAYAL AATA HAI K BUS AB MATLOOB HAR HAAL MEI MUSSAKHAR HO KAR ITA'AT KA DAM BHARAY GA SOCHAY SAMJHAY BEGHIAR AMAL PER AMAL KIAY JA RAHE HOTAY HEN NATEEJA ZAHIR NA HONAY PER UN ALOOM KI KHOOB TAZLEEL KI JA RAHE HOTI HAI KHOOB GALIYAN DE JA RAHE HOTI HEN AUR PHIR AIK FAISLA KAR LIYA JATA HAI K SAB KUCH FARAD HAI.

YAD RAKHEN IS MEI QASOOR UN ALOOM KA NAHI BAL K US SHAKHS KA HAI JIS NEY UN ALOOM KO ITNA AASAN SAMJHA AUR QAVAYED-E-AMALIYAT KO KOI AEHMIYAT NA DETAY HOAY ASOOL-O-QAVAYED SE MOON MORR LIYA.

DEKHEN K AAP COMPUTER KA ISTEMAL KARTAY HEN LEKIN JAB TAK AAP K PAS IS SYSTEM MEI OPERATING SYSTEM INSTALL NA HO AUR TAMAM DRIVERS INSTALL NA HON AAP IS MACHINE SE KOI FAYEDAH NAHI UTHA SAKTAY AGAR BAZAR SE KISI BRAND KI KOI MACHINE UTHA LAYEN JIS MEI OPERATING SYSTEM INSTALL NA HO AUR TAMAM DRIVERS INSTALL NA HON GHAR AA KAR AAP MACHINE KO ON KAREN AUR BLANK SCREEN  DEKH KAR AAP US COMPANY KO BURA BHALA KAHEN GE AISE MEI KOI FARD JO AAP K BARABAR MEI BETHA HO AUR AUR COMPUTER SE WAQIF HO TO WOH ZAROOR AAP PER HANSE GA AAP NEY SAB SE PEHLE WINDOWS INSTALL KARNA HAI PHIR JO DEVICE AAP IS SYSTEM  MEI ISTEMAL KARNA CHAHTAY HEN US K DRIVERS KA INSTALL HONA BHI ZAROORI HAI TAB JA KAR KAHEN COMPUTER ISTEMAL KARNY K QABIL BANAY GA LEKIN IS K BAVAJOOD US SE FAYEDAH NAHI UTHAYA JA SAKTA JAB TAK K AAP KO IS KI BUNYADI MALOOMAT KA ILM NA HO,
TO JANAB-E-WALA YEHE MUA'AMLA KUCH IS SHOBAY MEI BHI HAI OPERATING SYSTEM KA HONA ZAROORI HAI
BUNYADI BATON KA ILM ZAROORI HAI
OPERATING SYSTEM K FARQ AUR TAREEQA-E-ISTEMAL K FARQ SE WAQIF HONA ZAROORI HAI
MUKHTASAR YEH SHOBA ITNA AASAN NAHI JITNA AAP KHYAL KAR RAHE HEN.

 YAD RAKHEN AAMAL-E-HUB BOHAT MUSHKIL SE APNA ASAR ZAHIR KARTAY HEN IS MEI QUDRAT KI BOHAT HIKMATEN POSHEEDAH HEN IS RAB-E-KAYENAT NEY AIK KHAAS SYSTEM K TEHAT IS DUNIYA KI TAKHLEEQ FARMAYE HAI AUR US AALIM-UL-GHAIB KO INSAN KI FITRAT KA BHI ILM HAI US NEY APNAY KALAM MEI ASAR TO RAKHA HAI LEKIN US QADIR-E-MUTLAQ NEY KUCH PECHEEDGIYAN BHI RAKHI HEN K NA'AEHAL AUR NA'SAMAJH IS KA GHALT ISTEMAL NA KAREN AAP KHUD SOCHEN K AAMAL-E-HUB ITNAY AASAN HOTAY TO JIS KA JEE CHAHTA KOI AMAL KARTA AUR APNA KAAM NIKALVATA AISEE HALAT MEI KIYA LOGO KI IZZAT MEHFOOZ HOTI ?
MEI YAHAN JO QAVAYED-O-ZAVABIT TAHREER KAROO GA WOH FANN-E-AMALIYAT SE SHOQ RAKHNAY WALO AUR AAMILEEN HAZRAT DONO K LIAY MUFEED SABIT HON GE BUS MERI AIK GUZARISH HAI K IN AAMAL K NAJAYEZ ISTEMAL SE IJTENAB KAREN AAMAL KA DAR-O-MADAR NEYYATO PER HAI JESI NEYYAT HO GE WESE NATEEJAY ZAHOOR PAZEER HON GE ACHAY YA BURAY (GOOD OR BAD)
MEI MUKHTASAR TAMAM BATON KO BEYAN KAROO GA MAGAR ITNA K AIK AAM SHAKHS BHI SAMAJH JAYE MUJHAY IS SILSILA MEI MAZEED KOI SAWAL NA KIYA JAYE AGAR SAMAJH NA AAYE TO IS FANN SE MUNSILIK KUTUB-E-AMALIYAT KI TARAF RUJOO KIYA JAYE
YAAD RAHAY WOHE SHAKHS KAMYAB HO GA JO TAMAM QAVAYED KI PABANDI KO ZAROORI KHAYAL KARE GA KISI NUKTA KO IS KHAYAL SE TARK KAR DENA K IS SE KIYA FARQ PARRAY GA NEHAYAT HE BEVAQOOFI HAI.

JO HAZRAT IS SHOBAY MEI MUBTADI KI HESSIYAT RAKHTAY HEN UN SE GUZARISH HAI K APNI ILMI MALOOMAT K LIAY TO IN BAATON KO NOTE KAR LEN LEKIN AMALI TOR PER US WAQT TAK QADAM NA BHARRAYEN JAB TAK AAP KO MUTALLAQAT KA MUKAMMAL ILM NA HO JAYE MEI NEY AIK KOSHSIH KI HAI K TAMAM BATON KO AIK JANIB YAKJA KAR DOO LEKIN YEH BHI HAQEEQAT HAI K AIK ILM KO MEHAZ CHAND SATOOR MEI NAHI SAMETA JA SAKTA.

JANNA CHAHIAY K AMALIYAT WA FANN-E-NAQOOSH MEI RIJAL-UL-GHAIB NEHAYAT AEHMIYAT K HAMIL HEN DORAN-E-AMAL YA BA'WAQT TAHREER RIJAL-UL-GHAIB SAMNAY KI JANIB NA HON ISI TARAH DEEGAR BAATON KA BHI KHAYAL RAKHA JAYE
DARJA'ZEL LINKS KO BAKHOOBI PARRHEN AAP KO JA'BAJA IN KI ZAROORAT PARRAY GE.



1- Matloob ka naam aur Sayyarah Maloom karna

2- Rajal-al-Ghaib 

3- Ilm-e-Najoom ki Afadiyat 

4- Zakawt Aur Ijazat 

5- Manazil-e-Qamri key Khawas 

6- Mazeed Hadayat 

7- Bakhoor Sayyargaan 

8- Istekhraj-e-Sa'at