عامل کے فرائض

عامل کے فرائض






''AMIL K FARYEZ AUR ZIMMADARIYAN''



ROOHANI  AMLIYAT KI LAYEN AIK MUQADDAS AUR PAKEEZAH LAYEN HAI IS LAYEN SE DILCHASPI RAKHNAY WALAY HAZRAT K LIAY ZAROORI HAI K WOH IS RAH PER CHALNE K ASOOL AUR QAWAYED SE PURI TARAH WAQIF HOUN AIK AMIL K ANDER KYA KYA KHASOOSIYAT HONI CHAHIAY AUR USKO KIN KIN OSAAF SE BEHRA'WER HONA CHAHIAY WOH SAB IS POST MEI KHOL DIAY GAYE HAEN YEH POST AIK AAYENA HAI AMIL KO IS AAYENE MEI APNI TASWEER DEKHNI CHAHIAY AUR AGAR AAYENA SACH BOL RAHA HO TO USKI SACHAYE KA EHTARAM KARTY HOYE APNI SHAKHSIYAT KI NOK PALAK DURUST KARNI CHAHIAY AAYENE PER TAAO KHANE KI ZAROORAT NAHI ZAROORAT APNE KHAD-O-KHAL KO BEHTER BANANY KI HAI TA K IS RAH PER CHAL KAR AWAM WA KHAWAS KI BEHTER KHIDMAT KI JA SAKAY JAB TAK AMIL APNE ANDER WOH KHASOOSIYAT PEDA NAHI KARE GA JO BUZURGON KA TARKA HEN TAB TAK WOH IS RAH MEI KAMYAB NAHI HO SAKTA AUR NA KISI K KAM AA SAKTA HAI SIRF APNE MAFADAT PURAY KAR LENA KAMAL NAHI KAMAL YEH HAI K HUM SAHEE TREEQON SE IS RAH MEI LOGO K KAM AAYEN AUR YEH USI WAQT MUMKIN HAI K JAB HAM K JAB HAM NE UN FARAYEZ-O-WAJIBAT KO AEHAM SAMAJH LIYA HO JO IS RASTE K AEHAM SUTOON HEN AUR JIN PER AMAL KIAY BEGHAIR "AMIL KAMIL" BAN'NA QATAN NA MUMKIN HAI

AMIL K FARAYEZ


1- RIZQE HALAL KHANE KA PABAND HO AADI HO AUR HARAM CHEEZON SE USAY NAFRAT HO

2- SACH BOLNA IS KA MIZAJ HO JHOOT BOLNE SE USAY NAFRAT HO

3- TAHARAT ZAHIRI SE BEHRA'WER HO HAMESHA BA'WUZU REHNE KI AADAT HO

4- TAHARAT BATINI SE BHI BEHRA'WER HO US K KHAYALAT PAKEEZAH HON NEYYAT USKI SAF SUTHRI HO DIL MEI KHIDMAT-E-KHALQ KA JAZBA HO

5- ALLAH KI SARI MAKHLOOQ SE MOHABBAT KARNE KA MIZAJ HO KISI AIK MASLAK KA BHOOT US PER SAWAR NA HO BILA TAFREEQ MAZHAB-O-MILLAT LOGO KI KHIDMAT K LIAY HAR WAQT KAMAR BASTA HO

6- LAB-O-LEHJA NARAM HO MAKHLOOQ K DARD KO APNE DIL MEI MEHSOOS KARNE KI SALAHIYYAT HO MAREEZON SE MOHABBAT KARNE KA MIZAJ HO

7- ALLAH PER EMAN KAMIL HO AUR AUR YEH YAQEEN DIL MEI HO K TAVEEZAT KI HESSIYAT TADBEER KI HAI AUR FANN-E-AMLIYAT KI HESSIYAT HUSN-E-TADBEER KA DARJA RAKHTI HAI LEKIN HUKME KHUDA WANDI AUR IZN-E-KHUDA WANDI K BEGHAIR KISI BHI MUQADDAS KAMYABI KA IMKAN NAHI

8- AMIL KO KAMYABI KI NISBAT ALLAH KI TARAF KARNI CHAHIAY AUR NAKAMI KI SURAT MEI YEH SAMAJHNA CHAHIAY K IS SE KOYE KOTAHE HO GAYE HO GE WARNA AKABIREEN K TAJARBAT BARHAQ HEN

9- KHALOOS-E-LILLAHIYYAT SE PURI TARAH SARSHAR HO

10- AMIL K LIAY ZAROORI HAI K WOH JAB BHI KISI AMAL KI SHURU'AT KARE TO DUROOD SHARIF SE SHURU KARE HAN AL'BATTA MANFI KAMON MEI DUROOD SHARIF NA PARRHE

11- JIN AYYAM YA SA'ATON MEI AMAL KARY UNKI SA'ADAT WA NAHOOSAT KO PESH-E-NAZAR RAKH KAR AMAL K MAWAFIQ PARHEZ JALALI WA JAMALI KARY AUR SITARON K MUTABIQ BAKHOORAT KA EHTAMAM KARY KHANE PEENE KI CHEEZON MEI KHAS TOR SE ACHI BURI TASEER HOTI HAI IS LIAY KHANE PEENAY MEI ACHI TARAH SE EHTEYAT KARE AUR ZUBAN KO LA'YANI GUFTAGOO SE MEHFOOZ RAKHE

12- AMIL KO CHAHIAY K MUSBAT NAQSOOH LIKHTAY WAQT BADBOO'DAR CHEEZON SE BACHE AUR MANFI NAQOOSH LIKHTY WAQT IS TARAH KI CHEEZON KA ISTEMAL RAKHE

13- KISI BHI AMAL KO QABOO KARNE K LIAY JAGAH AUR WAQT KI PABANDI KARNA ZAROORI HAI JAGAH YA WAQT KI TABDEELI SE AMAL KI TASEER WA QUWWAT MEI KAMI PEDA HO JATI HAI

14- KISI BHI AMAL KO QABOO MEI KARNE K BAD IS AMAL KO KISI NA KISI MIQDAR MEI ROZANA PARRHNA ZAROORI HAI TA K AMAL QABOO MEI RAHE

15- AMAL K LIAY KISI REHNUMA KI REHNUMAYE ZAROORI HAI AUR JIS KO AMIL APNA REHNUMA YA USTAD TASLEEM KARTA HO US K HUKAM KI THEEK THEEK TAMEEL KARNA ZAROORI HAI

16- BE WUZU NA KOYE AMAL KAREN NA KOYE NAQSH LIKHEN BIL'KHSOOS WOH NAQOOSH JO AAYT-E-QURANI PER MUSHTAMIL HON UN K LIKHNE SE PEHLE WUZU KARNA ZAROORI HAI

17- AMIL KO CHAHIAY WOH APNE LIKHAY HOYE NAQOOSH PER KHUD BHI YAQEEN KAMIL RAKHTA HO AUR YEH SAMAJHTA HO K IS K NAQOOSH ILMI AUR FIKRI ETBAR SE AIK ACHI TADBEER KI HESSIYAT RAKHTY HEN AUR IN K ISTEMAL SE ZAROORAT MANDON KO APNE MAQASID MEI BE'IZNILLAH YAQEENAN KAMYABI MIL SAKTI HAI

18-AMIL KO CHAHIAY WOH JIS AAYT QURANI YA ISM KA NAQSH LIKHE NAQSH LIKHNE K BAD US AAYAT YA US ISM KO KAM SE KAM AIK MARTABA PARRH KAR NAQSH PER DAM KAR DE YA PHIR AAYAT AUR ISM ILAHE K MUFRAD ADAD K BARABAR PARRH KAR DAM KAR DE , MASLAN AGAR WOH YA''BASITU'' KA NAQSH LIKHE TO 9 MARTABA YA BASITU KO PARRH KAR NAQSH PER DAM KARY

19- AAYAT QURANI AUR ISME ILAHE K ADAAD DURUST NIKALE IS MEI AGAR KHATA HO GAYE TO NAQSH DURUST NAI BANE GA AUR JAB NAQSH DURUST NAHI BANE GA TO TASEER ZAHIR NAHI HO GE



 CHILLA KASHI


KOYE BHI AMIL CHILLA KASHI K BEGHAIR AMLIYAT MEI KAMYAB NAHI HO SAKTA AIK CHILLA AMOOME TOR PER 40 DIN KA HOTA HAI AUR 40 DIN LAGATAR AIK AMAL KARNE SE US MEI TASEER PEDA HO JATI HAI 40 DIN K BAD US AMAL K ANWAR-O-ASAAR AMIL KI ZUBAN WA QALB PER JARI HO JATAY HEN BA'SHART K DORAN-E-CHILLA AMIL SE KISI TARAH KI KOYE KOTAHE SARZAD NA HOYE HO

CHILLA KASHI KI SHARAYET


CHILLA KASHI KI SHARAYET YEH HEN,

1- KISI MUSTANAD AMIL KAMIL KI REHNUMAYE MEI CHILLE KI SHURUWAT KARE APNI AQAL-O-FEHAM KO IMAM BANANY KI GHALTI NA KARE JIS AMIL SE REHNUMAYE HASIL KARE US KI HADAYAT KO PESH-E-NAZAR RAKH KAR AMAL SHURU KARE SABAR-O-ZABT SE CHILLA PURA KARE JALD BAZI K MUZAHIRAH NA KARE NA KISI BE'SABARI KA MUZAHIRAH KARE HATHLE PER SARSON JAMANY KI GHALTI NA KARY APNE WAQT PER KHUD BA KHUD ASRAT ZAHIR HOTAY HEN AUR WAQT-E-MUAYYANA SE QABAL KUCH ZAHIR NAHI HOTA IS LIAY SABAR-O-ZABT NEHAYAT ZAROORI HAI

2- AMIL K LIAY RIZQ-E-HALAL BEHAD ZAROORI HAI KEON K AGAR PET MEI HARAM ROZI JATI HAI TO PHIR DUA QABOOL NAHI HOTI AUR AMAL MEI TASEER BHI PEDA NAHI HOTI "ROOHANI AMLIYAT" MEI HALAL RIZQ HONA BUNYADI SHART HAI AGAR KOYE AMIL DANISTA AIK LUQMA HARAM KHATA HAI TO 40 DIN TAK USKI EBADAT BHI QABOOL NAHI HOTI DUA KYA QABOOL HO GE AMIL KO YAQEEN RAKHNA CHAIAY K JO ISKI TAQDEER MEI ROZI LIKHI HAI WOH US KO MIL KAR RAHE GE IS LIAY LOGO K SAMNAY HATH PHELANA BHI AMIL K LIAY ACHA NAHI HAI JO HATH BAR BAR LOGO K SAMNAY PHELTA HAI IS HATH KI TASEERAT FANA HO JATI HEN IS LIAY AMIL KO CHAHIAY K WOH BAR BAR K MUTALBE SE KHUD KO MEHFOOZ RAKHE AUR BOHAT HE HIKMAT-E-AMALI , ADAYE BENEYAZI WA KHUDDARI SE IS LAYEN MEI APNA SAFAR JARI RAKHE JO LOG ALLAH K BANDON K SATH LOOT MAR WALA RAH EKHTEYAR KARTAY HEN WOH KISI BHI HALAT MEI "KHADIM" KEHLANE K HAQDAR NAHI HEN

3- DORAN-E-CHILLA AISE GHIZAON SE DOOR REHNA CHAIAY JO SUSTI KA BAYES BANTI HON IS LIAY TARK-E-HEWANAT MEI GOSHT WAGAIRAH KI PABANDI AAYED KI JATI HAI KEON K GOSHT KHORI SE NEEND KA GHALBA REHTA HAI DORAN-E-CHILLA BEHTER TO YEH HAI AMIL ZINDAGI BAQI RAKHNE K LIAY MAMOOL DARJE KI KHORAK LE PET BHAR K KHANA MUNASIB NAHI 

4- AGAR DORAN-E-CHILLA AKSAR ROZA SE RAHE TO AFZAL HAI 

5- CHILLA KASHI K LIAY KISI AISE JAGAH KA INTEKHAB KARNA CHAHIAY JAHAN MAKHLOOQ KA GUZAR NA HO AUR AMIL KO YAKSOOYE KI JAGAH BETH KAR AMAL KARNA CHAHIAY AAJ KAL CHILLA KASHI K LIAY MUNASIB JAGAH NASEEB NAHI HOTI KEON K AABADIYAN BOHAT BARRH GAYE HEN AUR SHEHRON MEI MAKAN BOHAT CHOTAY HEN IN MAKANO MEI YAKSOOYE HASIL NAHI HOTI AGAR AMIL KISI AISE JAGAH AMAL KAR RAHA HAI JAHAN T.V KI REDIO KI YA KISI BHI TARAH K GAANE BAJANE KI YA LOGO KI GUFTAGU KI AAWAZ AA RAHE HO TO WAHAN AMAL MEI KAMYABI MILNA NA'MUMKIN HAI AAJ KAL MASAJID K KAMRAY BHI SHOR-O-GHUL SE MEHFOOZ NAHI HEN IS LIAY AMAL K LIAY KOYE AISE JAGAH TALASH KARNI CHAHIAY KHAWAH IS K LIAY KAHEEN WEERANE MEI JANA PARRAY JO BILKUL ALAG THALAG HO AUR HAR TARAH KI AWAZON SE WOH MEHFOOZ HO

6- DORAN-E-CHILLA AMIL KO CHAHIAY APNI ZUBAN KI HIFAZAT RAKHAY JHOOT,GHEEBAT,ILZAM TARASHI KALMAT-E-DIL SHIKNI WAGHERAH SE APNI ZUBAN KO PURI TARAH MEFOOZ RAKHE WARNA AMAL KI TASEER ZAHIR NAHI HO GE 

7- AMAL SHURU KARNE SE PEHLE KUCH NA KUCH SADQA KAR DENA ZAROORI HAI AGAR HAR ROZ SADQA KARTA RAHE TO AUR BHI ACHA HAI 

8- PARHEZ DORAN-E-AMAL ZAROORI HEN AUR BADBOO DAR CHEEZEN JESE KACHA PEYAZ , KACHI LEHSAN WAGHAIRAH K ISTEMAL SE DOOR RAHE

9- AGAR GHUSAL KARNE MEI KOYE PARESHANI NA HO TO ROZANA TAZAH GHUSAL KAR K AMIL APNA AMAL SHURU KARE WARNA WUZU K SATH AMAL SHURU KARE AGAR AMAL SE PEHLE 2 NAFAL PARRH LE TO AFZAL HAI

10- DORAN-E-AMAL BAKHOORAT ZAROORI HEN AGAR SITARON K MUTABIQ HON TO BEHTER HAI 

11- DORAN-E-CHILLA KASHI AMIL KO CHAHIAY MAKHLOOQ SE ZEYADAH NA MILA JULA KARE KAM UMAR LARRKO AUR ORATO SE KHUD KO DOOR RAKHE NEEZ DUNIYADAR QISAM K LOGO SE BILKUL NA MILE WARNA IS K AMAL PER IN CHEEZON KA ASAR PARRAY GA AUR AMAL ZAYA HO JAYE GA

12- AMAL QIBLA RUKH BETH KAR KARE AUR DO'ZANO JIS TARAH NAMAZ MEI TASH'HUD MEI BETHTAY HEN US TARAH BETHAY AUR AMAL KI NEYYAT KARE AUR YEH BHI NEYYAT KARE K YEH AMAL MEI ROZANA ITNI TADAD MEI AUR ITNAY DINO MEI MUKAMMAL KARON GA AGAR AMAL BA MOAKEL HAI TO PEHLE ROZ QIBLA RU BETHAY US K BAD RIJAL-UL-GHAIB KA LEHAZ RAKHTAY HOYE ROZANA APNA RUKH BADALTA RAHE 

13- AGAR AMAL AIK CHILLA MEI KAMYABI NA HO TO DOBARA US AMAL KO KARE AUR HARGIZ HARGIZ MAYOOS NA HO  YAQEEN RAKHE K AKABIREEN NE JO TAJARBAT KITABON MEI LIKHAY HEN 100% DURUST HEN IN MEI KISI BHI TARAH KI NAKAMI  APNI KISI NA KISI KAMI YA KOTAHE KA NATEEJA HAI AIK AMAL KO NAKAM HONAY K BAD PHIR DOBARA KARE DOBARA BHI NAKAMI HO TO TEESRI BAR KARE IN'SHAALLAH TEESRI BAR ZAROOR KAMYABI MIL JAYE GE 

14- HAR AMAL K SHURU MEI 11 BAR DUROOD SHARIF PARRHE IS TARAH AMAL K KHATAM PER BHI ROZANA 11 BAR DUROOD SHARIF PARRHE DUROOD SHARIF PARRHNE SE AMAL MEI NORANIYAT PEDA HOTI HAI AUR DUROOD PAK KI BARKAT SE DUAAEN AUR AAMAL BARGAH KHUDA'WANDI MEI MAQBOOL HO JATY HEN IS LIAY DUROOD KA EHTEMAM ROZANA AMIL KO KARNA CHAIAY 

15- JIN AMLIYAT MEI BEGHIAR SILA HOWA KAPRRA PEHANA HO UN BEGHAIR SILA HOWA KAPRRA PEHNE YANI EHRAM BANDHE LEKIN AMAL K DORAN HE EHRAM BANDHNA CHAIAY 24 GHANTAY EHRAM MEI REHNE KI ZAROORAT NAHI JIN AMLIYAT MEI BEGHAIR SILA KAPRRA PEHNANY KI SHART NAHI HOTI UN MEI KOYE SA BHI LIBAS PEHAN LEN LEKIN SUFED RANG K LIBAS KO TARJEEH DEN AUR AMAL K DORAN JO LIBAS PEHNEY AMAL K BAD USAY UTAR DEN LEKIN ROZANA US LIBAS KO DHONE KA EHTEMAM KAREN AGAR AMIL APNA LIBAS APNE HATHO SE KHUD DHOYE TO BEHTER HAI 

16- AMIL APNE KHANE PEENAY AUR KHANA PAKANY K BARTEN ALAG RAKHE 

17- AMAL HAMESHA NO'CHANDI JUMERAT SE SHURU KARE BA'SHART K QAMAR DAR AQRAB NA HO QAMAR DAR AQRAB HO TO AGLE MAH KA INTEZAR KAREN 

18- NO'CHANDI JUMERAT US JUMERAT KO KEHTAY HEN JO CHAND KI 3 TAREEKH K BAD AAYE PEHLI JUMERAT AUR NO'CHANDI JUMERAT MEI FARQ HOTA HAI CHAND KI PEHLI, DOSRI YA TEESRI TAREEKH KO JO JUMERAT AAYE GE US KO PEHLI JUMERAT KAHEN GE AUR JO CHAND KI 3 TAREEKH K BAD 14 TAREEKH SE PEHLE JUMERAT AAYE GE US KO NO'CHANDI JUMERAT KAHEN GE  ISI TARAH NO'CHANDI ITWAR WAGHAIRAH KO QEYAS KAREN

19- AGAR KOYE WAEEFA WAQT MUQARRAR PER NA PARRHA JA SAKAY KISI SHDEED MAJBOORI KI WAJA SE TO US WAZEEFA KO NAMAZ-E-FAJAR K BAD SE NAMAZ-E-ZOHAR TAK PARRH LE TA K NAAGHA NA HO LEKIN BOHAT HE SHADEED MAJBOORI MEI IS REYAT SE FAYEDAH UTHAYE KHAWAMAKHA AMAL KO QAZA NA KARY AIK CHILLA MEI AGAR 4 MARTABA SE ZAYED AMAL WAQT-E-MUQARRARAH PER NA PARRHA JAYE TO PHIR WOH BE'ASAR HO JATA HAI 

20- DORAN-E-CHILLA AMIL KO CHAHIAY K AAJIZI AUR INKASARI KO MALHOOZ RAKHE LARRAYE JHGARRA, BEHAS MUBAHISA AUR LA YANI BATON SE KHUD KO DOOR RAKHE KEON K YEH BATEN AMAL PER ASAR ANDAZ HOTI HEN AUR IS K SATH AMIL APNE AMAL KO HATTA'AL'AMKAN POSHEEDAH RAKHE IS KA PARCHAR NA KARE

21- AMIL K LIAY YEH BHI ZAROORI HAI K JIN ZARAYE YA JIN SHKHSIYAT SE ISKO REHNUMAYE AMAL MUYASSAR AAYE HO UMAR BHAR UN ZARAYE AUR UN SHAKHSIYAT KI QADAR KARE AUR DIL SE UN KA EHTARAM KARE 

22- ZIKR-E-ELAHI K SATH FIKR AUR GHOUR-O-GHOZ SE BHI AMIL KO WABASTA REHNA CHAIAY 

23- AMIL KO CHAHIAY WOH HAR HAL MEI HAR SURAT MEI YEH YAQEEN RAKHE K KHDA WADAHU LA SHAREEK K IZN K BEGHAIR IS DUNIYA MEI KUCH NAHI HOTA ,  JO AMIL YEH SAMAJHTA HAI YA BAWER KARATA HAI WOH CHUTKI BAJATAY HOAY KHUD LOGO KI TAQDEER BADAL DETA HAI TO WOH AMIL NAHI WOH SHETAN HAI

24- AMIL KO CHAHIAY ALLAH K SAB BANDON SE BILA TAFREEQ MAZHAB-O-MILLAT AUR BILA TAFREEQ  MASLAK MOHABBAT KARY AUR UNKI KHIDMAT K LIAY KHUD KO WAQF KAR DE

25- AMIL K LIAY YEH BHI ZAROORI HAI K ROZANA AAMDANI MEI SE KUCH NA KUCH KHERAT KARTA RAHE AUR ZAKAT WA SADQAT MEI HARGIZ HARGIZ KOTAHE NA KARY IN K ELAWAH ACHA AMIL HAR KHOOBI KO EKHTEYAR KARTA HAI AUR HAR KHARABI AUR BURAYE SE APNA DAMAN BACHATA HAI ISI MEI US KI AAFIYYAT HAI AUR ISI MEI US KI AZMAT HAI 

AAKHRI BAT YEH HAI K AIK ACHAY AMIL KI NEYYAT AAYENAY KI TARAH SAF HOTI HAI JIN AAMILEEN KI NEYYAT KHARAB HO YA JIN KA MAQSAD SIRF DOLAT SAMETNA HO WOH IS DUNIYA MEI MUMKIN HAI KAMYAB HO JAYEN LEKIN AAKHIRAT MEI KHASARE MEI RAHEN GE SOCH-O-FIKAR KI APNI NAZAR KI APNE USTADON KI PURI TARAH HIFAZAT KAREN AUR SHETANO KI CHALON SE GHAFIL NA RAHEN.

AMIL K LIAY MAZEED HADAYAT


ROOHANI AMLIYAT K MEDAN MEI QADAM RAKHNE WALE HAZRAT KO JIN BUNYADI MALOOMAT KI ZAROORAT HAI WOH YEH HEN

1- ILM-E-ABJAD SE ITNI WAQFIYYAT HO K ASMA-E-ILAHE , AAYAT-E-QURANI, ASMA-E-MUHAMMADI AUR INSANO K NAMO K ADAAD BA'KHOOBI NIKAL SAKTA HO

2- MAJMOOYE ADAAD, MURAKKAB ADAAD AUR MUFRAD ADAAD NIKALNE KI MAHARAT HO

3- HAROOF-E-QAMRI AUR HAROOF-E-SHAMSI AZBAR HON AUR UN K ADAAD BHI AZBAR HON 

4- ABJAD-E-QAMRI MEI 'GHAYEEN'' K ADAAD AIK HAZAR 1000 HOTAY HEN AUR ABJAD-E-SHAMSI MEI 'YAA'' K ADAAD AIK HAZAR 1000 HOTAY HEN

5- IS K ELAWAH KUL ABJADEN 28 HEN UN SAB ABJADON SE AIK AMIL KO WAQIF HONA CHAHIAY AUR UN K ADAAD SE BHI  AMIL KO WAQIF HONA CHAHIAY

6- MAHIREEN-E-JAFAR NE MOAKEL BANANY K MUTADID TAREEQAY DARYAFT KIAY HEN AMIL KO MOAKEL BANANY K TAREEQON SE BA'KHOOBI WAQFIYYAT HONI CHAIAY 

7- AZEEMATEN BHI AKABIREEN SE MANQOOL LEKIN AMIL K ANDER ITNI SALAHIYYAT HONE CHAHIAY K WOH HASB-E-ZAROORAT AZEEMAT KHUD TAYAR KAR SAKE

8- ISI TARAH AWAN, KHALEEFA, JIN, WAGHIRAH BANANY KI TARKEEB BUZURGON SE MANQOOL HEN AMIL K ANDERYEH SALAHIYAT HONI CHAHIAY K WOH ASMA-E-ELAHI K MUKHTALIF AAYAT-E-QURANI K AUR MUKHTALIF KALMAT K MOAKEL, AWAN, KHALEEFA, AUR JIN AKHAZ KAR LE AUR PHIR HASB-E-QAYEDAH UN SE ROOHANI IMDAD HASIL KARY

9- AMIL KO SADQAT , ZAKAT BAKHOORAT WAGHIRAH SE MUKAMMAL WAQFIYYAT HONI CHAIAY

10- AMIL KO ANASIR-E-ARBA AUR HAWAS-E-KHAMSA AUR ILM E RIJAL'UL GHAIB SE BHI WAQFIYYAT HONA ZAROORI HAI 

11- AMIL K LIAY ZAROORI HAI K WOH ILM-E-ADAAD , ILM-E-NAJOOM, AUR ILM-E-SA'AT SE BA'KHABAR HO

12- ADAD KI DOSTI DUSHMANI HAROOF K ANASIR AUR SA'AT K SAD-O-NEHAS K BARE MEI ZAROORI MALOOMAT HASIL HON

13- SHRAYET-E-AAMAL AUR AOQAT-E-AMAL MUTAEYYAN KARNE K TAREEQON SE WAQIF HO 

14- AAYAT-E-QURANI K ZARIAY MATLOOBA MAQASID MEI KAMYABI HASIL KARNE K ZARAYE AUR TADABEER KI MALOOMAT RAKHTA HO

15- AQAYED PUKHTA HON, ALLAH KI WAHDANIYYAT PER KAMIL YAQEEN HO
HUZUR NABI KAREEM SAL'ALLAHO ALEHE WA SALLAM KI AZMAT-O-RIFA'AT K EHSAS SE QALB-O-NAZAR PURI TARAH SARSHAR HON AUR DUROOD PAK KI ZAROORAT WA AEHMIYYAT KA PURI TARAH ANDAZAH RAKHTA HO

16- ZAHIRI WA BATINI TAHARAT KA HAMIL HO

17- AMIL K LIAY BEHTER TO YEH HAI KITAB ALLAH KI KA HAFIZ HO WARNA AMIL K LIAY ZAROORI HAI CHAND SURTEN SAHEE SAHEE TALAFFUZ K SATH YAD KAR LE
MASLAN, S.YASEEN, S.REHMAN, S.MUZZAMMIL, S.MULK, 4 QUL SHARIF, AAYAT UL KURSI, S.ALBAQARA KI AAKHRI AAYAT WAGHERAH IN SAB K ELAWAH ALLAH TA'ALA K 99 SIFATI NAME AMIL KO YAD HON AUR UN K ADAAD AUR MA'ANI BHI AMIL KO MALOOM HON

18- AMIL K LIAY ZAROORI HAI USKO NAQSH BHARNE K TAMAM TAREEQON SE WAQFIYYAT HO AUR AMIL DORAN-E-AMAL NISHIST WA BARKHAST K ASOOLON SAY BHI PURI TARAH WAQIF HO

19- AMIL KO MUKHTALIF QISAM K DUROOD BHI YAD HONE CHAIAY KEON K BAZ UMOOR MEI BAZ DUROOD BOHAT MUFEED AUR MOASSER SABIT HOTAY HEN

20- AMIL K LIAY YEH BHI ZAROORI HAI K WOH INSANI NAMO K MA'ANI SE WAQFIYYAT RAKHTA HO AUR UN K ADAAD NIKALNE KI BHI US MEI BHARPOOR SALAHIYYAT MOJOD HO

 

21- HAR AMIL KO CHAIAY K WOH S. YASEEN K IBTEDAYE CHILLON SE GUZAR CHUKA HO JO US KO RUJJAT AUR INQALAB-E-AMAL SE MEHFOOZ RAKHTAY HEN 


22- AMIL KO CHAHIAY HISAR BANDHNE AUR IS K TAREEQON SE WAQIF HO AUR HISAR QATBI KI IS NE ZAKAWT ADA KAR RAKHI HO IS K ELAVAH AMIL KO HIZB-UL-BEHAR KI ZAKAWT BHI ADAA KARNI CHAIAY NEEZ CHEHAL KAF , AAYAT-E-QUTAB, AAYAT-E-HIRS WAGHAIRAH KI ISKO MUKAMMAL JANKARI HO IS NE ZAKAWT BHI ADAA KAR RAKHI HO

23- ASHAB-E-KEHAF K NAAM BHI ROOHANI AMLIYAT MEI BOHAT AEHMIYYAT RAKHATY HEN AMIL KO CHAHIAY INHEN YAD KAR LE AUR IN SE BHI ISTEFADAH HASIL KARE



AMIL K LIAY MAZEED WAJIBAT


* AMIL K LIAY YEH BAT BHI LAZIM HAI K CHILLA KASHI K DORAN WOH APNE BISTER PER KISI AUR KO NA SONAY DE AUR NA HE WOH KISI K BISTER PER SOYE APNE ISTEMAL K BARTAN WAGHAIRAH KO BHI KISI DOSRE KA HATH NA LAGNE DE AUR NA HE DOSRON K BARTANO KO ISTEMAL KARE KEON K HAR INSAN KI APNI ZATI ZAROORIYAT HOTI HEN AUR JAB BHI KOYE INSAN KISI CHEEZ KO HATH LAGATA HAI TO SIRF ISKO CHOO LENAY SE BHI USKI SHAKHSIYAT KI KHOOBI US CHOOYE HOYE SHAY MEI PEDA HO JATI HAI IS LIAY MAHIREEN NE IS BAT KI SAKHT TAKEED KI HAI K DORAN-E-AMAL NA KISI KA ISTEMAL SHUDAH SAMAN KHUD ISTEMAL KARE AUR NA HE APNA SAMAN KISI DOSRE KO ISTEMAL KARNE DE

* CHILLE K DORAN HAR AMIL K LIAY ZAROORI HAI K WOH ZAHIRI AUR BATINI DONO TARAH KI TAHARATON KA KHAYAL RAKHE JHOOT,GHEEBAT,BAD'NAZRI WAGHAIRAH SE KHUD KO MEHFOOZ RAKHE TA K BATINI TAHARAT SE MALA MAL RAHE AUR ZAHIRI TAHARAT KA BHI HAR LAMHA EHTEMAM KARE MASLAN HAR WAQT BA'WUZU RAHE AUR BILA NAGHA GHUSAL KARE AGAR MUMKIN HO TO DORAN-E-CHILLA ROZAY SE RAHE WARNA HAR TEESRE DIN ROZA RAKHE YEH BHI AGAR KAMZORI KI WAJAH SE MUMKIN NA HO TO HAR PEER AUR JUMERAT KA ROZA RAKHE AUR AMAL K PEHLE AUR AAKHRI DIN GHUSAL KARE 

* DORAN-E-AMAL AGAR ROZANA EHRAMI LIBAS PEHNE TO IS SE AMAL KI QUWWAT MEI IZAFA HO JATA HAI LIBAS JO BHI HO KHUSHBOO SE MOATTER HO KOSHISH KARE K DORAN-E-AMAL SUFED LIBAS PEHNE SUFED LIBAS HAR QISAM K AMAL K LIAY BEHTER SABIT HOTA HAI WARNA PHIR APNI TAQDEER K SITARE KA JO RANG HO US KI MUNASIBAT SE LIBAS ZEB'TAN KARE

* AMLIYAT MEI QADAM RAKHNE SE QABAL YEH BAT ZEHAN KI GEHRAYE MEI UTAR LENI CHAHIAY K JIS TARAH DOCTOR AUR TABEEB BAN'NAY K LIAY AIK KHAS MUDDAT TAK TALEEM-O-TARBEYYAT K MUKHTALIF MARAHIL SE GUZARNA PARRTA HAI BILKUL ISI TARAH AMIL KAMIL BAN'NAY K LIAY MEHNAT-O-MUSHAQQAT AUR ILM-O-AMAL KI KAYE MANZILEN TAY KARNI PARRTI HEN WARNA KUCH HATH NAHI LAGTA AUR KABHI KABHI FAYEDAH HONE KI BAJAYE ZABARDAST NUQSAN HO JATA HAI AAJ GALI DAR GALI JO LOG DHONI RACHAYE BETHAY HEN YEH AMIL NAHI HEN MEHAZ PESHA KARNE WALE AUR AIK MUQADDAS FANN KO BADNAM KARNE WALE LOG HEN JINHO NE 2, 4 KITABE PARRH KAR APNI DUKAN SAJA LI AISE LOG KHUDA KI SEEDHE SADI MAKHLOOQ KO ULLU BANANY MEI MASROOF HEN 

* AGAR AAP FIL'HAQEEQAT AMIL BAN'NA CHAHTAY HEN TO PHIR AAP MEHNAT AUR REYAZAT K LIAY TAYAR RAHEN KEON K IS K BEGHAIR AMLIYAT KA MEDAN FATAH NAHI HOTA AUR JO REYAZAT AUR TAQWAY SE JAN CHURATA HO IS KO IS MEDAN MEI QADAM NAHI RAKHNA CHAHIAY KEON K IS MEDAN KA HAQ UN LOGO K LIAY MAKHSOOS HAI JO MEHNAT AUR EBADAT K AADI HON 

YEH BAT YAD RAKHEN,

1- AMLIYAT AUR NAQOOSH KO KITABON SE JOON KA TOON NAQAL KAR DENA KAR'AAMAD NAHI HO SAKTA JAB TAK BA'QAYEDAH HAR AMAL AUR NAQSH KI ZAKAWT ADAA NA KAR DI GAYE HO AGAR ZAKAWT K BEGHAIR KISI AMAL YA NAQSH MEI TASEER PEDA HO GAYE TO YEH ITTEFAQI BAT HAI AUR KISI ITTEFAQI KAMYABI KO APNA KAMAL SAMAJH LENA NADANI KI BAT HAI

2- KOYE BHI WAZEEFA PARRHNE YA AMLIYAT KI ZAKAWT ADAA KARNE KI SHURUWAT KARNE SE PEHLE UN TAMAM SHARAYET WA QAYOOD KO PESH-E-NAZAR RAKHNA CHAIAY JO HAR AMAIL K LIAY ZAROORI HEN , MASLAN TAHARAT KA EHTAMAM , EBADAT KA ELTEZAM, KHIDMAT-E-KHLAQ KI PABANDI, SACH BOLNE KI AADAT, HALAL ROZI HASIL KARNE KI FIKAR, NEYYAT KI SAFAYE AUR KHUDA KI KUL MAKHLOOQ SE MOHABBAT KARNE KA JAZBA WAGHAIRAH, IN OSAF K BEGHAIR AMIL BAN'NA NAMUMKIN HAI 

3- KISI BHI AMIL KO KOYE AMAL KISI KO NUQSAN POHANCHANE K LIAY NAHI KARNA CHAIAY WARNA ROOHANI TOR PER FAYEDAH KI BAJAYE NUQSAN HO GA MUA'ALIJ SIRF ZINDGI BACHANE KA KAM KARTA HAI KISI KI ZINDGI CHEEN'NAY KI KOSHISH JAB K YEH MUMKIN BHI NAHI MUA'ALIJ KA KAM NAHI MANFI AMAL KARNE WALE AAMILEEN KI DEEN-O-DUNIYA BARBAD HO JATI HAI WARNA IN KA KIYA HOWA INKI OLAD K SAMNE AATA HAI 

4- AMLIYAT SHURU KARNE SE QABAL UN TAMAM TAFSEELAT SE BA'KHABAR HONA CHAIAY JIN KI JANKARI HAR AMIL K LIAY ZAROORI HAI MASLAN SITARON KI TAFSEELAT , SA'ATON KI JANKARI AUR ILM-E-NAJOOM KI IS HAD TAK MALOOMAT JIS HAD TAK ILM-E-NAJOOM HASIL KARNA SHAR'AN JAYEZ HAI AUR AGAR SA'ATON K SAEED AUR GHAIR SAEED HONE KI MALOOMAT WAGHAIRAH  NAHI HO GE  TO AMIL KO JAGAH JAGAH DUSHWARIYAN PESH AAYEN GE AUR PHIR WOH IDHAR UDHAR BHATAKNE PER MAJBOOR HO GA 

5- AFZAL TO YEH HAI K AMIL BAN'NAY KA SHOQ RAKHNE WALE HAZRAT HAFIZ-E-QURAN HON LEKIN AGAR HAFIZ-E-QURAN NA HON TO UNHE S.YASEEN,S.MUZZAMMIL,S.JINN,S.FATAH.S.SAFFAT,S.REHMAN ZAROOR YAD HONE CHAHIAY AUR QURAN PAK DEKH KAR SAHEE TALAFFUZ K MUSALSAL PARRHNE KI MASHQ HONE CHAHIAY 

6- IS MEDAN MEI QADAM RAKHNE WALE KO YEH BHI MALOOM HONA CHAIAY K US KA SITARA KONSA HAI USKA MIZAJ KIYA HAI ? AASANI K LIAY HUM YAHAN APNA SITARA MALOOM KARNE KA AASAN TAREEQA PESH KAR RAHE HEN,

* JO SHAKHS ANGREZI MAH KI 1,10,19,28 KO PEDA HOGA US KA SITARA SHAMS HO GA 

* JO SHAKHS ANGREZI MAH KI 2,11,20,29    KO PEDA HOGA US KA SITARA QAMAR    HO GA

* JO SHAKHS ANGREZI MAH KI 3,12,21,30  KO PEDA HOGA US KA SITARA MUSHTARI     HO GA

* JO SHAKHS ANGREZI MAH KI 4,13,22,30    KO PEDA HOGA US KA SITARA SHAMS     HO GA

* JO SHAKHS ANGREZI MAH KI 5,14,23    KO PEDA HOGA US KA SITARA  ATARAD   HO GA


* JO SHAKHS ANGREZI MAH KI 6,15,24     KO PEDA HOGA US KA SITARA  ZOHRA   HO GA

* JO SHAKHS ANGREZI MAH KI  7,16,25   KO PEDA HOGA US KA SITARA QAMAR    HO GA

* JO SHAKHS ANGREZI MAH KI 8,17,26    KO PEDA HOGA US KA SITARA ZOHAL    HO GA

* JO SHAKHS ANGREZI MAH KI 9,18,27    KO PEDA HOGA US KA SITARA  MAREEKH   HO GA

*AGAR BILA ITTEFAQ KISI KO MALOOM NA HO K WOH KIS DIN PEDA HOWA HAI TO PHIR WOH KYA KARE? PHIR USE CHAIAY K WOH APNI AUR APNI MAN K NAAM K ADAAD KO JAMA KAR K 7 SE TAQSEEM KARE AGAR TAQSEEM K BAD 1 BAQI RAHE TO AMIL KA SITARAH QAMAR HAI

* AGAR TAQSEEM K BAD 2 BAQI RAHE TO AMIL KA SITARA   ATARAD  HAI

* AGAR TAQSEEM K BAD 3 BAQI RAHE TO AMIL KA SITARAH  ZOHRA  HAI

* AGAR TAQSEEM K BAD 4 BAQI RAHE TO AMIL KA SITARAH  SHAMS  HAI

* AGAR TAQSEEM K BAD 5 BAQI RAHE TO AMIL KA SITARAH  MARREEKH  HAI

* AGAR TAQSEEM K BAD 6 BAQI RAHE TO AMIL KA SITARAH  MUSHTARI  HAI

* AGAR TAQSEEM K BAD 0 BAQI RAHE TO AMIL KA SITARAH  ZOHAL  HAI



* IS TAREEQA SE APNA MIZAJ BHI MALOOM KAR SAKTA HAI MIZAJ MALOOM KARNE K LIY APNE AUR APNI MAN K NAAM K ADAAD KO 4 SE TAQSEEM K BAD AGAR  1  BAQI RAHE TO MIZAJ ''AATISHI''  HAI, AGAR 2 BAQI RAHE TO MIZAJ  ''BAADI''  HAI , AGAR 3 BAQI RAHE TO MIZAJ  ''AABI'' HAI , AUR AGAR  0 BAQI RAHE TO MIZAJ  ''KHAKI''  HAI, IS TARAH HAR SHKHS BOHAT HE SAHOOLAT K SATH APNA SITARA AUR APNE MIZAJ KA UNSAR MALOOM KAR SAKTA HAI IN DONO BATON KA MALOOM KAR LENA HAR US SHKHS K LIAY ZAROORI HAI JO AMLIYAT K MEDAN MEI BA'QAYEDAH QADAM RAKHNE KA IRADAH RAKHTA HO. 
AIK ASAN TAREEQA YEH BHI HAI


--------------------------------------------------------------------------------------------------------
--------------------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------

* JIN HAZRAT KA BURJ HAMAL HO UN K LIAY HAR QAMRI MAH KI 2,6,11,29, AUR 30 TAREEKHEN GHAIR MUBARAK HEN

* JIN HAZRAT KA BURJ JOZA HO TO UN LIAY HAR QAMRI MAH KI 13,14,17,28 AUR 30 TAREEKHEN GHER MUBARAK HEN

* JIN HAZRAT KA BURJ ASAD HO TO UN K LIAY HAR QAMRI MAH KI 6,12,16,21, AUR 25 TAREEKHEN GHER MUBARAJK HEN 

* JIN HAZRAT KA BURJ MEEZAN HO UN KLIAY HAR QAMRI MAH KI 22,23,25,28 TAREEKHEN GHER MUBARAK HEN

* JIN HAZRAT KA BURJ QOAS HO TO UN KLIAY HAR QAMRI MAH KI 3,4,9,25 TAREEKHEN GHER MUBARAK HEN 

* JIN HAZRAT K BURJ DILO HO TO UN K LIAY HAR QAMRI MAH KI 2,12,17,23,25 TAREEKHEN GHER MUBARAK HEN 

* JIN HAZRAT KA BURJ SOAR HAI TO UN K LIAY HAR QAMRI MAH KI 4,9,24,25,28 TAREEKHEN GHER MUBARAK HEN

* JIN HAZRAT KA BURJ SARTAN HO TO UN K LIAY HAR QAMRI MAH KI 2,8,13,18,28,25 TAREEKHEN GHER MUBARAK HEN 

* JIN HAZRAT KA BURJ  SUNBLA HO TO UN K LIAY HAR QAMRI MAH KI 6,12,17,25 TAREEKHEN GHER MUBARAK HEN 

* JIN HAZRAT KA BURJ AQRAB HO TO UN K LIAY HAR QAMRI MAH KI 4,9,13,15,21,28 TAREEKHEN GHER MUBARAK HEN

* JIN HAZRAT KA BURJ JADI HAI TO UN K LIAY HAR QAMRI MAH KI  13,14,29 TAREEKHEN GHER MUBARAK HEN 

* JIN HAZRAT KA BURJ HOAT HO UN K LIAY HAR QAMRI MAH KI 13,14,29 TAREEKHEN GHER MUBARAK HEN 

* IN TAREEKHON MEI KISI CHILLA YA WAZEEFA KI SHURUWAT NA KAREN WARNA PAAYA-E-TAKMEEL KO NA POHANCHAY GA YA BE'ASAR RAHE GA YOUN HAR NA'MUMKIN CHEEZ PER BHI ALLAH QADIR HAI LEKIN ASBAB KI IS DUNIYA MEI JIS TARAH ZEHAR AUR BANDOOQ KI GOLI SE MOHTAT REHNE KI KOSHISH KI JATI HAI AUR JAN BOOJH KAR JIS TARAH KOYE KOOYEN MEI CHALANG LAGAYE YA MEENAR SE CHALANG LAGANE MEI JAN KA  KHATRA MEHSOOS KARTA HAI USI TARAH ROOHANI AMLIYAT K MEDAN MEI RAH TAY KARTAY HOAY MAZKOORA BALA TAREEKHON MEI AMAL KI IBTEDAKARNE SE KHUD KO MEHFOOZ RAKHNA BAD AQEEDGI NAHI EHTEYAT AUR DOOR'ANDESHI HAI YEH SAMAJHNA K TAMAM DIN AUR TAREEKHEN MUBARAK HEN AUR GHER MUBARAK KOYE DIN AUR KOYE TAREEKH NAHI HAI TAQWA NAHI BAL K BEWAQOOFI HAI BESHAK JO ZAT KHLIQ-E-KHAIR HAI WOHE ZAT KHALIQ-E-SHAR BHI HAI JIS NE MUBARAK CHEEZON KO PEDA KIYA HAI US NE GHER MUBARAK CHEEZON KO BHI PEDA KIYA HAI  ANDHERE, UJALAY, GHAM, KHUSHI AUR HAR ACHI BURI CHEEZ KA KHALIQ AIK ALLAH WAHDAHU LA SHAREEK HE HAI AUR YEHE TOHEED KI MERAJ HAI K HUM HAR CHEEZ KA KHALIQ SIRF ZAT-E-WAHID KO MANEY

IS PURI DUNIYA KA NIZAM ACHI BURI SA'ATON AUR SITARON PER MUNHASIR HAI BOHAT SE GHARRIYAN MUBARAK HEN YEHE MAQBOOLIYAT KI GHARRIYAN HEN AUR BOHAT SEE GHARRIYAN GHER MUBARAK HEN YEH ADAM MAQBOOLIYAT KI GHARRIYAN HEN HAD YEH HAI K BAZ GHARRIYAN AISE BHI HEN K IN MEI KHUDA KO SAJDAH KARNA BHI JAYEZ NAHI HAI JAB K DIN RAT MEI BAZ GHARRIYAN AISEE BHI HEN BIL'KHASOOS AAKHRI SHAB KI SA'ATEN K UN MEI HATH UTHTAY HE DUA QABOOL HO JATI HAI JAB YEH TAMAM BATEN AQEEDATAN DURUST HEN TO PHIR GHER MUBARAK SA'ATON SE AMLIYAT KI SHURUWAT MEI EHTEYAT BARATNA HARAM QARAR NAHI PAA SAKTA 

BESHUMAR LOG NADANI MEI YA NA'WAQFIYYAT MEI AMLIYAT MEI ACHI BURI SA'ATON KA LEHAZ NAHI KAR PATAY AUR NAKAM HO JATAY HEN AUR BIL'AAKHIR ROOHANI AMLIYAT SE BAD'ZAN HO JATAY HEN HUM IN SA'ATON KI WAZAHAT IS LIAY KAR RAHE HEN TA K IS RAH PER CHALNE WALE TULABA KI MEHNAT ZAYA NA JAYE YOUN ALLAH TA'ALA QADIR MUTLAQ AUR MUKHTAR-E-KULL HAI AUR WOH APNE BANAYE HOAY QAWANEEEN KA BHI PABAND NAHI HAI WOH CHAHE TO MUBARAK AUR SAEED SA'ATON MEI BHI BIJLIYAN KOOND SAKTI HEN AUR WOH CHAHE TO NA'MUBARAK AUR MANHOOS GHARRIYON MEI BHI REHMATEN BARAS SAKTI HEN IS RAH MEI QADAM RAKHNE SE PEHLE ANDAZAH KAR LEN K AAP KA BURJ KON SA HAI

* WOH TAMAM HAZRAT BURJ HAMAL K ZER-E-ASAR MANAY JAYEN GE JIN KI PEDAYESH 21 MARCH SE 20 APRIL K DARMIYAN HOYE HO 

* WOH TAMAM HAZRAT BURJ SOAR K ZER-E-ASAR MANAY JAYEN GE JIN KI PEDAYESH 21 APRIL SE 21 MAY K DARMIYAN HOYE HO 

* WOH TAMAM HAZRAT BURJ JOZA K ZER-E-ASAR MANAY JAYEN GE JIN KI PEDAYESH 22 MAY SE 21 JUNE  K DARMIYAN HOYE HO

* WOH TAMAM HAZRAT BURJ SARTAN K ZER-E-ASAR MANAY JAYEN GE JIN KI PEDAYESH 24 JUNE SE 23 JULY K DARMIYAN HOYE HO

* WOH TAMAM HAZRAT BURJ ASAD K ZER-E-ASAR MANAY JAYEN GE JIN KI PEDAYESH 24 JULY SE 23 AUGUST K DARMIYAN HOYE HO 

* WOH TAMAM HAZRAT BURJ SUNBLA K ZER-E-ASAR MANAY JAYEN GE JIN KI PEDAYESH 24 AUGUST SE 23 SEPTEMBER KO HOYE HO 

* WOH TAMAM HAZRAT BURJ MEEZAN K ZER-E-ASAR MANAY JAYEN GE JIN KI PEDAYESH 24 SEPTEMBER SE 23 OCTOBER K DARMIYAN HOYE HO 

* WOH TAMAM HAZRAT BURJ AQRAB K ZER-E-ASAR MANAY JAYEN GE JIN KI PEDAYESH 24 OCTOBER SE 22 NOVEMBER K DARMIYAN HOYE HO

* WOH TAMAM HAZRAT BURJ QOAS K ZER-E-ASAR MANAY JAYEN GE JIN KI PEDAYESH 23 NOVEMBER SE 22 DECEMBER K DARMIYAN HOYE HO

* WOH TAMAM HAZRAT BURJ JADI K ZER-E-ASAR MANAY JAYEN GE JIN KI PEDAYESH 23 DECEMBER SE 20 JANUARY HOYE HO

* WOH TAMAM HAZRAT BURJ DILO K ZER-E-ASAR MANAY JAYEN GE JIN KI PEDAYESH 21 JANUARY SE 19 FEBRUARY HOYE HO

* WOH TAMAM HAZRAT BURJ HOAT K ZER-E-ASAR MANAY JAYEN GE JIN KI PEDAYESH 20 FEBRUARY SE 20 MARCH K DARMIYAN HOYE HO


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------------------------------



* AMIL AMAL K DORAN QIBLA RUKH BETHAY AUR IS TARAH BETHAY JIS TARAH NEMAZ MEI BETHTA HAI 

* AMAL K DORAN AFZAL HAI K PEHLU BHI NA BADLE PURA AMAL AIK HE PEHLU PER PARRH LE YANI SHURU SE AAKHIR TAK AIK HE ANDAZ BEGHAIR HARKAT K BETHA RAHE LEKIN AGAR AMAL LAMBA HO TO PEHLU BADALNAY MEI KOYE HARJ NAHI HAN YEH YAD RAHE K NISHIST KI IBTEDA AUR INTEHA NEMAZ KI TARAH BETHNE WALI HE HO DARMIYAN MEI KISI AUR TARAH BHI BETHA JA SAKTA HAI LAMBE AMAL SE MURAD JIS MEI NISF GHANTAY SE ZAYED WAQT LAGE 

* AMAL  SHURU KARTAY WAQT YEH NEYYAT KARNA K FALAN MAQSAD K LIAY AMAL KAR RAHA HOUN AUR AAJ ITNI BAR PARRHO GA BE'HAD ZAROORI HAI BEGHAIR NEYYAT K AMAL MOASSER NAHI HOTA 

* BEHTER YEH HAI K HAR ROZ AMAL SE PEHLE 2 RAKAT NAFAL BA'NEYYAT ''SALAT-UL-HAJA'' PARRHE AUR JO AMAL KAR RAHA HAI US KI KAMYABI K LIAY DUA'A KARE PHIR APNA AMAL SHURU KARE IS TARAH ''IN'SHAALLAH AMAL KI KAMYABI K AMKANAT ROSHAN HO JAYEN GE 

* DORAN-E-AMAL APNE GIRD MAZBOOT  HISAR ZAROOR KAR LE, HISAR KARNE K KAYE TAREEQAY HEN QURANI HISAR SAB SE MOASSER AUR AFZAL HAI

*  AMAL K DORAN BOHAT SE KHOFZADA MANAZIR SAMNAY AAYEN GE MAGAR UNKI HAQEEQAT KUCH NAHI WOH MEHAZ AMIL KO KHOFZADA KARNY K LIAY HON GE TA K AMIL KHOFZADA HO KAR APNA AMAL PARRHNA TARK KAR DE AISE SURAT MEI KHUD KO QABOO RKHIAY AUR HISAR SE NA UTHE AUR AMAL MUSALSAL PARRHTAY RAHE 
* BAZ OQAT KISI AMAL KI TASEER AIK CHILLA MEI ZAHIR NAHI HOTI AGAR AISA HO TO MAYOOS NA HO AMAL JARI RAKHAY AUR DOSRA CHILLA KARAY AAMILEEN NE FARMAYA HAI DOSRA CHILLA KAM SE KAM 10 DIN BAD YA PHIR AIK MAH BAD SHURU KARE NAKAMI K FORAN BAD HE DOSRA CHILLA SHURU NA KARE 

* MAYOOSI KUFAR HAI MOMEN KABHI MAYOOS NAHI HOTA AMLIYAT KA QILLA SAR KARNE K LIAY ZAROORI HAI K TAMAM HALAT MEI KHAWAH BAZAHIR KITNAY HE MAYOOS KUN HALAT HON AAS KA DAMAN NA CHORRAY ALLAH PER BHAROSA RAKHAY AUR CHEYUNTI SE EBRAT HASIL KARTAY HOYE APNI DHUN MEI LAGA RAHE AUR YAQEEN RAKHE AIK DIN WOH BA'FAZAL RAB KAMYAB HO GA AGAR PEHLE CHILLA MEI KAMYABI NAHI HOTI TO DOSRAY YA TEESRAY CHILLA MEI ZAROOR KAMYABI HO GE 

* HAR AMAL SE PEHLE TAAQ TADAD MEI DUROOD SHARIF PARRHNA ZAROORI HAI , HAR AMAL SE MUTALLIQ ALAG ALAG DUROOD SHARIF HEN AGAR WOH MUYASSER NA HON TO DUROOD-E-IBRAHEEMI HE KAFI HAI 

* APNAY KHANAY PEENY K BARTAN KHUD DHOYE AUR INHE KISI KO BIL'KHASOOS KISI AURAT KO HATH NA LAGANAY DE 

* AGAR KISI KHADIM KA TAWWUN ZAROORI HO TO KHADIM NAMAZI AUR PARHEZ'GAR HO 

* AMAL K LIAY AIK HE JAGAH RAHAY AUR WAQT BHI AIK HE RAHE DONO CHEEZON MEI TABDEELI NA HO TO AFZAL HAI 

* AMAL NO'CHANDI JUMERAT SE SHURU KARE TO BEHTER HAI AUR NO'CHANDI JUMERAT AISE JUMERAT KO KEHTAY HEN JO CHAND KI 4 TAREEKH YA US K BAD AAYE AGAR PEHLI YA DOSRI TAREEH KO JUMERAT KO PARRHEN GE TO US KO NO'CHANDI NAHI MANEY GE 

* WAZEEFA AUR AMAL BILA NAGHA PARRHNA CHAIAY AGAR KISI MAJBOORI YA SHARYE UZR KI BINA PER NA K SUSTI AUR KAHELI KI WAJA SE WAZEEFA TARK KAR DIYA GEYA TO AGLAY DIN ZOHAR K BAD PARRH LE LEKIN TARK KARNAY KO AADAT NA BANAYE YANI AKSAR TARK NA KARAY WARNA AMAL AUR WAZEEFAY KI TASEER KHATAM HO JAYE GE 

* HAR AMAL AUR NAQSH KI ZAKAWT ADAA KARNA ZAROORI HAI , ZAKAWT ADAA KARNE K BAD US AMAL KO ROZANA 3, 7, YA 11 BAR PARRHNA ZAROORI HAI TA K AMAL QABOO MEI RAHE 

* AMAL KI IJAZAT SAHIB-E-AMAL SE LENA ZAROORI HAI WARNA IS K KARNE SE NUQSAN KA ANDESHA HAI 

* JIS ZAMANA MEI AMAL PARRHE PEYAZ WAGHERAH SE IJTENAB KARE DORAN-E-AMAL AGAR MOUN SE BADBOO AAYE TO MOAKELEEN KO TAKLEEF POHANCHAE GE AUR WOH IMDAD KARNE KI BAJAYE DUA KAREN GE IS LIAY BADBOO SE BACHAE AUR KHUSHBOO'DAR RAHE.

BAQI HAR AMAL K SATH APNI SHARAYET MAKHSOOS HOTI HEN UNKA KHAYAL RAKHA JAYE  JIS AMAL K SATH JO SHART RAKHE GAYE HAI US KO PURA KARE US MEI APNI TARAF SE IZAFA YA KAM NA KARE BAL K HAR SHART PER PURA PURA AMAL KIYA JAYE.

------------------------------------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------